Mirza Ghulam Qadiani's final moments

Mirza's final night on earth: 

 

Transliteration:

“Bayaan kiya mujh se hazrat walda sahiba ne ke jab hazrat maseeh maud aakhri beemari bemaar huay aur aap ki haalat naazuk hui to mainay ghabra kar kaha “Allah yeh kya honay laga hai”. Is par hazrat sahib ne farmaya “yeh vo hi hai jo mein kaha karta tha”.

Khaaksaar mukhtasaran arz karta hai ke hazrat maseeh maud 25 May 1908 ya’ni peer ki sham ko bilkul acchay thay. Raat ko isha ki namaz ke baad khaksaar bahir se makaan me aaya to mainay dekha ke aap walda sahiba ke saath palang par baitthay huey khana kha rahay thay. Main apnay bistar par jaa kar laitt gaya aur phir mujhay neend aa gaee.

Raat ke pichlay pehr subha ke kareeb mujhay jagaya gaya ya sha’yad logaun ke chalnay phirnay aur bolnay ki avaaz se main khud bedaar hua to kya dekhta houn ke hazrat maseeh maud is-haal ki bemaari se sakht bemaar hain aur haalat naazuk hai aur idhar udhar ma’alaj aur doosray laug kaam me lagay huay hain.

Jab mainay pehli nazar hazrat maseeh maud ke oopar ddali to mera dil baitth gaya. Kyounkay mainay aisi haalat aapki is se pehlay na dekhi thi aur meray dil par yeh hi asar parra ke yeh marz ul maut hai.

Is waqt aap bohot kamzaur ho chukay thay. Itnay me doctor ne nabaz dekhi to nararad. Sab samjhay ke wafaat paa gaey aur yakdam sab par ek sanatta chha gaya magar thhorri dair ke baad nabaz me phir harkat paida hui magar haalat bar sator naazuk thi. Itnay me subah ho gai aur hazrat maseeh maud ki chaarpai ko bahir sehen se utthaa kar andar kamray me le aey.

Jab zara achi roshni ho gai to hazrat maseeh maud ne pooccha “kya namaz ka waqt ho gaya hai?” Ghaliban Sheikh Abdul Rahman Sahib Qadiani ne arz kiya ke Huzur ho gaya hai. Aap ne bistar par hi haath maar kar tayamam kiya aur laitay laitay hi namaz shuru kar di magar aap isi haalat me thay ke ghashi si taari ho gai aur namaz ko poora na kar sakay.

Thorri dair ke baad aap nay phir daryafat farmaya ke subah ki namaz ka waqt ho gaya hai. Arz kiya gaya huzur ho gaya hai. Aap nay phir niyyat baandhi magar mujhay yaad nahi ke namaz poori kar sakay…..


 ... ya nahi.

Is waqt aap ki haalat sakht karb aur ghabrahatt ki thi. Ghaliban aatth ya saarray aatth bajay doctor ne pooccha ke huzur ko khaas tor par kya takleef mahsoos hoti hai. Magar aap jawaab na de saktay. Is liye kaagaz qalam dawat mangvai gai aur aap ne baaein haath par sahara le kar bistar se utth kar kuch likhna chaha magar ba-mushkil do chaar alfaaz likh sakay aur phir be-waja zaaf ke kaagaz ke oopar qalam ghaseett-ta hua chala gaya aur aap phir laitt gaey.

Yeh aakhri tehreer jis me ghaaliban zubaan ki takleef ka izhaar tha aur kuch hissa parrha nahi jata tha janab walda sahiba ko de dee gai.

Nau bajay ke baad hazrat sahib ki haalat ziyada nazuk ho gai aur thorri dair ke baad aap ko gharghara shuru ho gaya. Ghargharay me koi avaaz waghaira nahi thi balkay sirf saans lamba lamba aur khich khich kar aata tha. Khaaksaar is waqt aap ke sarhanay kharra tha.

Yeh haalat dekh kar walda sahiba ko jo is waqt saath waalay kamray me theen itla dee gai. Vo me chand ghar ki masturaat ke aap ki charpai ke paas aa kar zameen par baitth gaeen.

Is waqt doctor Muhammad Hussain Shah Sahib Lahori ne aap ki chhaati me pastaan ke paas anjkashan yani davai ki pachkari kee jis se vo jaga kuch ubhar aee magar kuch afaka mehsoos na hua balkay baaz logaun ne burra manaya ke is haalat me aap ko kyoun yeh takleef dee gai hai.

Thorri dair tak ghargharay ka silsila jaari raha aur har aan saansaun ke darmiyaan ka waqfa lamba hota gaya hatta ke aap ne ek lamba saans liya aur aap ki rooh Raqeeb aala ki taraf parwaz kar gai.

Khaaksaar ne walda sahiba ki yeh ravayat jo shuru me darj ki gai hai jab dobara walda sahiba ke paas baraey tasdeeq bayaan ki aur hazrat maseeh maud ki wafaat ka zikr aya to walda sahiba ne farmaya ke hazrat maseeh maud ko pehla dast khana khanay ke waqt aaya tha magar us ke baad thorri dair tak hum log aap kay paaun dabaatay rahay aur aap araam se laitt kar sau gaey. Aur mein bhi sau gai.

Kuch dair ke baad aap ko phir haajat mehsoos hui aur ghaliban ek ya do dafa rafa haajat ke liye aap pakhanay tashreef le gaey. Is ke baad aap ne ziyada zaaf mehsoos kiya to aap ne haath se mujhay jagaya. Mein utthi to aap ko itna zaaf tha ke aap meri charpaai par hi laitt gaey aur mein aap ke paoun daba nay ke liye baitth gai.

Thorri dair ke baad hazrat sahib ne farmaya tum ab…



…..sau jao. Mainay kaha nahi mein dabaati houn. Itnay me aap ko ek aur dast aaya magar is qadar zaaf tha ke aap pakhana na ja saktay thay is liye mainay charpai ke paas hi intezam kar diya aur aap waheen baitth kar faaragh huay aur phir utth kar laitt gaey aur mein paoun dabaati rahi magar zaaf bohot ho gaya tha.

Is ke baad ek aur dast aaya aur phir aap ko ek kae aai. Jab aap kae se farag ho kar laitt nay lagay to itna zaaf tha ke aap lait-tay lait-tay pasht ke bal charpai par gir gaey aur aap ka sar charpai ki lakrri se ttakraya aur haalat dargaun ho gai. Is par mainay ghabra kar kaha “Allah yeh kya honay laga hai?” To aap ne farmaya “Yeh vohi hai jo mein kaha karta tha”.

Khaksaar ne walda sahiba ko poocha kya aap samajh gai theen ke hazrat sahib ka kya munsha hai? Walda sahiba ne farmaya “haan”. Walda sahiba ne yeh bhi farmaya ke jab haalat kharaab hui aur zaaf bohot ho gaya to mainay kaha maulvi sahib (Hazrat Maulvi Nooruddin Sahib) ko bulaein?

aap ne farmaya bula lo neez farmaya Mahmood ko jaga lo. Phir mainay pooccha Muhammad Ali Khan ya’ni Nawab Sahib ko bula loun? Walda sahiba farmati hain ke mujhay yaad nahi ke hazrat sahib ne is ka kuch jawaab diya ya nahi aur diya to kya diya.

Khaksaar arz karta hai ke hadees shareef me aata hai ke marz maut me aan hazrat sallal laahu alayhi wassallam ko bhi sakht karb tha aur nihayat darja becahini aur ghabrahatt aur takleef ki haalat thi aur hum nay dekha hai ke hazrat maseeh maud ka bhi ba-waqt wafaat qareeban aisay hi haal tha.

Yeh baat na-waaqaf logaun ke liye maujab ta’ajab ho gi kyounkay doosri taraf vo suntay aur dekhtay hain ke sufiya aur auliya ki wafaat nihayat aetmanaan aur sakoon ki haalat me hoti hai.

Sau, dar asl baat yeh hai ke nabi jab faut honay lagta hai to apni ummat ke mutalliq apni tamam zimedariyan us kay saamnay hoti hain aur un kay mustaqbil ka fikr mazeed baraan uskay daaman geer hota hai.

Tamaam duniya se barrh kar is baat ko nabi jaan ta aur samajhta hai ke maut ek darwaza hai jis se guzar kar insaan ne khuda ke saamne kharra hona hai.

Pas maut ki aamid jahaan is lehaaz se us ko masroor karti hai ke wasaal mahboob ka waqt qareeb aan pohncha hai wahaan us ki azeem-ush-shaan zimedaariyaun ka ehsaas aur apni ummat ke mutalliq ainda ka fikr ussay ghair mamooli kurb me batla dete hai

Magar sufiya aur auliya in fikraun se azaad hotay hain. Un par sirf un…


 

…..kay nafs ka baar hota hai. Magar nabiyon par hazaaraun laakhaun karrorraun insaanaun ka baar. Pas farq zaahir hai.

(Is ravayat me hazrat walda sahiba ne jo yeh bayaan kiya hai ke unki ghabrahatt ke izhaar par hazrat maseeh maud ne yeh farmaya ke “yeh vohi hai jo mein kaha karta tha”. Is ke mutaliq mainay hazrat walda sahiba se daryafat kiya tha ke is se kya muraad hai jis par unhaun ne farmaya ke hazrat sahib ki yeh muraad thi ke jaisa ke main kaha karta tha ke meri wafaat ka waqt qareeb hai. Sau ab yeh vohi maud waqt aa gaya hai.

Aur walda sahiba ne farmaya ke in alfaaz me goya hazrat sahib ne mujhay ek rang me tasalli di thi ke ghabranay ki koi baat nahi hai kyounkay yeh vohi muqaddar waqt hai jis ke mutaliq mein khuda se ilm ya zikr kiya karta tha aur jis tara khuda ka yeh wada poora ho raha hai is tara khuda ke doosray waday bhi jo meray baad khudaee nusrat waghera ke mutaliq hain, pooray haun ge aur khuda tum sab ka khud kafeel ho ga.

Neez hazrat walda sahiba ne farmaya ke hazrat sahib ko is-haal ki shikayat aksar ho jaya karti thi jis se baaz-o-kaat bohot kamzori ho jati thi aur aap isi bemari se faut huey).”

Translation:

“Mother narrated to me that when Hazrat Maseeh Maud had his last illness and his condition was fragile, I worriedly said “Allah what is about to happen?” To this Hazrat Sahib said “this is that which I used to say”.

This humble one briefly states that on 25 May 1908 on the evening of Monday, Hazrat Maseeh Maud was completely fine. At night after Isha prayer this humble one came to the house from inside and I saw that he was sitting with mother on the bed eating food. I went to lie down on my bed and then I fell asleep.

In the latter part of the night, close to early morning I was woken or maybe due to the sound of people walking around and talking I woke up myself and what I see is that hazrat maseeh maud is extremely sick with diarrhoea and his condition is fragile and herbalists and other people are busy in work here and there.

When I first glanced towards Hazrat Maseeh Maud, my heart sank. Because I had never seen his condition like this before then and it had an effect on my heart that this is the ailment of death.

At this point he had become very weak. The doctor checked his pulse and it was still. Everyone had thought that he had passed away and suddenly everyone was overcome with shock, but shortly afterwards, there was movement in the pulse again but his condition was still fragile. Morning came and Hazrat Maseeh Maud’s bed was taken from the garden to the room inside.

When there was a good amount of daylight Hazrat Maseeh Maud asked “Is it time for namaz?” Sheikh Abdul Rahman Sahib Qadiani said Huzur it is. He (Mirza Ghulam Ahmad) patted his hands on the bed and performed tayamum and while lying down, started to pray but while in this condition, he swooned and could not complete the prayer.

After a little while he enquired again that is it time for morning prayer. It was stated that huzur it is. He again performed his intention but I do not remember if he was able to complete the prayer or not. At this point his condition was extremely angst and dysphoric.

Probably at 8 or 8.30 the doctor asked huzur what specific pain/discomfort he felt. But he was not able to answer. So a paper, pen and inkpot were brought and he leaned on his left hand for support while trying to sit up, and tried to write something but he wrote a few words with difficulty and then the pen feebly dragged onto the paper unnecessarily and he (MGA) lay back down.

This last script which expressed the pain of the tongue and parts of which could not be read, was given to Mother.

After 9 o clock Hazrat Sahib’s condition became more fragile and after a short time, he started having difficulty breathing. There was no sound but his breath intake was deep and he was struggling to take a breath. At this point, this humble one was standing next to him.

Upon seeing this condition Mother who was in the next room, was informed. She took leave of some womenfolk and came and sat on the floor next to his bed. At this point Doctor Muhammad Hussain Shah Sahib Lahori pumped his chest near the breast which caused that area to rise but no improvement was noticed. However some people were offended as to why he was given such pain in that condition.

For some time the breathing difficulty continued and the gap between each breath became longer until he took a long breath and his soul was taken to God.

When this humble one verified Mother’s narration that has been presented at the beginning, and mention was made of Hazrat Maseeh Maud’s death, Mother stated that Hazrat Maseeh Maud first got an urge to go to the toilet while he was eating. But after that for a little while we pressed his feet and he lay down and slept. And I also slept.

After some time he felt another urge to go and he went to the bathroom one or twice to relieve himself. After that he felt a lot of weakness and he woke me with his hand. I awoke and he had so much weakness that he just lay on my bed and I sat to press his feet.

After a little while Hazrat Sahib told me to go to sleep. I said no I will press (massage). In this time he had another motion but the weakness was much that he was not able to go to the toilet so I made arrangements next to the bed and he sat there and relieved himself and then got up and lay back down and I continued to press his feet but he had become too weak.

After that he had one more looseness of bowels and then he vomited. When he finished vomiting and was about to lay down, he had so much weakness that while laying down, he fell face down onto the bed and he hit his head on the wood of the bed and his condition worsened. To this I anxiously said “Allah what is about to happen?” And he said “this is that which I used to say”.

This humble one asked Mother ‘did you understand what Hazrat Sahib meant?’ Mother replied yes. Mother also stated that when his condition became worse and his weakness had become too much I said ‘shall we call for Maulvi Sahib (Hazrat Maulvi Nooruddin Sahib)’? He said call him and also said wake Mahmood.

Then I asked shall I call Muhammad Ali Khan (Nawab Sahib)? Mother states that I do not remember if Hazrat Sahib replied to this or not, or what his reply was if he did reply.

This humble one states that according to hadith, at the time of death Prophet Muhammad (SAW) also suffered extreme angst and high level of restlessness and anxiety/worry and he was in a state of pain and we have seen that at his time of death Hazrat Maseeh Maud’s condition was almost like that.

Those who are unaware will find this point strange because on the other hand they hear and see that the death sufiya and auliya is very comfortable and in a state of peace. In actuality when a prophet is about to pass away all his responsibilities in regards to his ummah are in front of him and the worry of their future is deep in his body.

A prophet knows and realises more than anyone in this world that death is a door which a person will go through and stand before God. So while he is pleased with death on the matter that the time of meeting with the Beloved is approaching, at the same time he is aware of his great responsibilities and the worry of the future of his ummah causes him extraordinary anxiety. However sufiya and auliya are free from such worries. They only have the burden of their nafs. Whereas prophets have the burden of thousands, lacs and millions of people. Therefore the difference is apparent.

(In this narration when Mother stated that upon seeing her restlessness/anxiety, Hazrat Maseeh Maud said “this is that which I used to say”. I enquired from Mother what this meant. She said that by saying this, Hazrat Maseeh Maud meant that just like I used to mention the time of my death is near. So that promised time has come. And Mother stated that through these words Hazrat Sahib gave me reassurance, that there is no need to worry because this is that destined time about which I used to get knowledge or zikr from God. And just like this Promise of God is being fulfilled, similarly other promises from God regarding God’s Help after me, will also be fulfilled and God will Himself be your guarantor).

Mother also stated that Hazrat Sahib used to often complain about having diarrhea due to which he used to experience a lot of weakness and he he dies of this illness.”

– Seeratul Mahdi: Volume 1, Narration 12, Page 9page 12 (direct link to the page)


No comments:

Post a Comment